Skip to content

Maa Durga Chalisa

  • Maa Durga
  • Aarti
  • Maa Durga Aarti
  • Lyrics
Maa Durga Chalisa
Last updated |September 28, 2026

Durga Chalisa PDF In English with Meaning

Durga Chalisa PDF

Welcome All! The Maa Durga Chalisa English lyrics (Durga Chalisa PDF in English) free PDF can be downloaded here.

Are you looking for Maa Durga Chalisa lyrics in English? Yes! Here we provide the full text of Maa Durga Chalisa in English along with a PDF download. Below you will find the complete lyrics for easy reading and chanting.

Maa Durga Chalisa in English Pdf Free Download

◆
✦
◆

The English lyrics PDF for Maa Durga Chalisa is available for you. You can save it by clicking the download button below.

Download English PDF

Maa Durga Chalisa Lyrics in English With Meaning

◆
✦
◆

1.
Namo Namo Durge Sukh Karni.
Namo Namo Ambe Dukh Harni॥

Meaning: Maa ko pranam jo sabhi ko sukh deti hain. Us Ambe Maa ko pranam jo sabke dukhon ka haran kar leti hain.

2.
Nirakar Hai Jyoti Tumhari.
Tihun Lok Feli Ujiyari॥

Meaning: Hey Maa! Aapki jyoti nirakar arthaat seemit na hokar aseem hai. Yeh teenon lokon mein charon taraf faili hui hai.

3.
Shashi Lalaat Mukh Mahavishala.
Netra Laal Bhrikuti Vikarala॥

Meaning: Chandra ke samaan chamakne wala aapka mukh bahut vishal hai. Aapke nayan laal aur aapki bhauhen vikraal hain.

4.
Roop Maatu Ko Adhik Suhave.
Darash Karat Jan Ati Sukh Paave॥

Meaning: Maa aapka yeh roop bahut adhik suhavna hai aur jo aapke darshan karta hai, use param sukh prapt hota hai.

5.
Tum Sansaar Shakti Lay Keena.
Paalan Hetu Ann Dhan Deena॥

Meaning: Is sansaar mein jitni bhi shaktiyan hain, ve aapke andar virajmaan hain. Aap sansaar ke paalan ke liye ann aur dhan pradan karti hain.

6.
Annapurna Hui Jag Paala.
Tum Hi Aadi Sundari Baala॥

Meaning: Annapurna hokar aap poore jagat ka paalan karti hain. Aap atyant sundar Aadi Shakti hain.

7.
Pralaykaal Sab Naashan Haari.
Tum Gauri Shivshankar Pyaari॥

Meaning: Jab pralay hota hai to aap sabka naash karti hain. Aap Gauri roop hain aur Shiv ji ko priya hain.

8.
Shiv Yogi Tumhare Gun Gaaven.
Brahma Vishnu Tumhein Nit Dhyaaven॥

Meaning: Yogi aur Shiv aapka hi gungaan karte hain. Brahma aur Vishnu bhi aapka hi dhyaan karte hain.

9.
Roop Saraswati Ko Tum Dhaara.
De Subuddhi Rishi-Munin Ubaara॥

Meaning: Aapne hi Saraswati ka roop dhaaran kiya. Aap Rishi-Muniyon ko sadbuddhi dekar unka uddhaar karti hain.

10.
Dhara Roop Narasinh Ko Amba.
Pragat Bhayeen Faadkar Khamba॥

Meaning: Hey Amba! Aapne Narasimha roop dhaaran karke khambhe ko cheer kar prakat hokar dharm ki raksha ki.

11.
Raksha Kar Prahlaad Bachaayo.
Hiranyaaksh Ko Swarg Pathaayo॥

Meaning: Aapne Prahlaad ki raksha ki aur uske atyachaari pita ka ant kiya.

12.
Lakshmi Roop Dharo Jag Maahin.
Shri Narayan Ang Samaahin॥

Meaning: Aapne Lakshmi ka roop dhaaran kiya aur Shri Narayan ke saath viraajmaan hui.

13.
Ksheer Sindhu Mein Karat Vilaasa.
Daya Sindhu Deejai Man Aasa॥

Meaning: Aap Ksheer Sagar mein bhi viraajmaan hain. Hey daya ki saagar Mata, mere man ki ichha poorn karein.

14.
Hinglaaj Mein Tumhin Bhavaani.
Mahima Amit Na Jaat Bakhaani॥

Meaning: Hinglaaj ki Bhavani Maa bhi aap hi hain. Aapki mahima anant hai, jiska varnan shabdon mein nahi kiya ja sakta.

15.
Maatangi Aru Dhoomavati Maata.
Bhuvaneshwari Bagla Sukh Daata॥

Meaning: Dhoomavati aur Matangi Mata bhi aap hi hain. Aap Bhuvaneshwari aur Baglamukhi roop mein sabhi ko sukh pradan karti hain.

16.
Shri Bhairav Taara Jag Taarini.
Chhinna Bhaal Bhav Dukh Nivaarini॥

Meaning: Shri Bhairav aur poore jagat ki taarini shakti bhi aap hi hain. Aap Chhinnamasta roop mein sansaar ke dukhon ko door karti hain.

17.
Keheri Vaahan Soh Bhavaani.
Laangur Veer Chalat Agvaani॥

Meaning: Hey Bhavani Mata, aap Singh par savaar hokar sushobhit hoti hain. Aapke aage Laangur Veer arthaat Hanuman ji agvaani karte hain.

18.
Kar Mein Khappar-Khadag Viraajai.
Jaako Dekh Kaal Dar Bhaajai॥

Meaning: Aapke haathon mein Khadag aur Khappar viraajmaan hain, jinhe dekhkar Kaal bhi bhaybheet hokar bhaag jaata hai.

19.
Sohai Astra Aur Trishoola.
Jaate Uthat Shatru Hiya Shoola॥

Meaning: Aapke paas anek astr aur trishul sushobhit hain, jinhe dekhkar shatruon ke hriday mein bhay utpann hota hai.

20.
Nagar Koti Mein Tumhin Viraajat.
Tihun Lok Mein Danka Baajat॥

Meaning: Nagarkot mein aap hi viraajmaan hain aur teenon lokon mein aapki mahima ka danka bajta hai.

21.
Shumbh Nishumbh Daanav Tum Maare.
Raktbeej Shankhan Sanhaare॥

Meaning: Aapne Shumbh-Nishumbh jaise daanavon ka sanhaar kiya aur anek Raktbeejon ka vadh kiya.

22.
Mahishaasur Nrip Ati Abhimaanee.
Jehi Agh Bhaar Mahi Akulaanee॥

Meaning: Mahishasur bahut abhimaani raja tha, jiske paapon ke bhaar se prithvi vyaakul ho gayi thi.

23.
Roop Karaal Kaalika Dhaara.
Sen Sahit Tum Tihi Sanhaara॥

Meaning: Aapne Kaalika ka bhayankar roop dhaaran karke Mahishasur ka uski poori sena sahit sanhaar kiya.

24.
Pari Gaadh Santan Par Jab-Jab.
Bhaee Sahaay Maatu Tum Tab-Tab॥

Meaning: Jab-jab santon par koi vipatti aayi hai, tab-tab hey Mata, aapne unki sahaayata ki hai.

25.
Amarpuri Aru Baasav Loka.
Tab Mahima Sab Rahen Ashoka॥

Meaning: Aapki mahima ke kaaran Amarpuri aur anya lokon mein rahne wale sabhi log shok se door rehte hain.

26.
Jwaala Mein Hai Jyoti Tumhaari.
Tumhein Sada Poojen Nar-Naari॥

Meaning: Jwaalamukhi mein aapki jyoti sadaiv vidyamaan rehti hai aur nar-naari aapki sada pooja karte hain.

27.
Prem Bhakti Se Jo Yash Gaavai.
Dukh Daaridra Nikat Nahin Aavai॥

Meaning: Jo bhi prem aur bhakti se aapki yashgaatha gaata hai, uske paas kabhi dukh aur daridrata nahi aati.

28.
Dhyaave Tumhein Jo Nar Man Laai.
Janam-Maran Taakau Chhuti Jaai॥

Meaning: Jo vyakti ekaagr man se aapka dhyaan karta hai, vah janam-maran ke bandhan se mukt ho jaata hai.

29.
Jogi Sur Muni Kahat Pukaari.
Yog Na Ho Bin Shakti Tumhaari॥

Meaning: Yogi, devta aur muni kehte hain ki aapki shakti ke bina yog sambhav nahi hai.

30.
Shankar Aachaaraj Tap Keeno.
Kaam Aru Krodh Jeeti Sab Leeno॥

Meaning: Shankaracharya ne kathor tap kiya aur kaam tatha krodh par vijay praapt ki.

31.
Nishidin Dhyaan Dharo Shankar Ko.
Kaahu Kaal Nahin Sumiro Tumko॥

Meaning: Ve din-raat Bhagwan Shankar ka dhyaan karte rahe, lekin kisi samay aapka smaran nahi kiya.

32.
Shakti Roop Ko Maram Na Paayo.
Shakti Gayi Tab Man Pachhitaayo॥

Meaning: Ve Shakti swaroop ki mahima ko samajh nahi paaye. Jab unki shakti chali gayi, tab unhe iska pachtava hua.

33.
Sharanaagat Hui Keerti Bakhaani.
Jai Jai Jai Jagdamb Bhavaani॥

Meaning: Tab ve aapki sharan mein aaye aur aapki keerti ka gaan kiya. Hey Jagdamba Bhavani, aapki sada jai ho.

34.
Bhaee Prasann Aadi Jagdamba.
Daee Shakti Nahin Keen Vilamba॥

Meaning: Aadi Jagdamba Mata prasann hui aur bina vilamb kiye unhe shakti pradan kar di.

35.
Moko Maatu Kasht Ati Ghero.
Tum Bin Kaun Harai Dukh Mero॥

Meaning: Hey Mata! Main bahut kashton se ghira hua hoon. Aapke alawa mere dukhon ko kaun door kar sakta hai?

36.
Aasha Trishna Nipat Sataave.
Moh Madaadik Sab Vinashaave॥

Meaning: Aasha aur trishna mujhe bahut sataati hain. Moh aur ahankaar aadi ne mujhe pareshaan kiya hua hai.

37.
Shatru Naash Keejai Mahaaraani.
Sumirau Ekchit Tumhein Bhavaani॥

Meaning: Hey Maharani Mata! Mere shatruon ka naash kijiye. Main ekaagr hokar aapka smaran karta hoon.

38.
Karo Kripa Hey Maatu Dayaala.
Riddhi-Siddhi De Karahu Nihaala॥

Meaning: Hey dayaalu Mata, mujh par apni kripa kijiye aur Riddhi-Siddhi pradan karke mujhe nihaal kijiye.

39.
Jab Lagi Jiyau Daya Phal Paau.
Tumharo Yash Main Sada Sunaau॥

Meaning: Jab tak main jeevit rahoon, aapki daya ka phal paata rahoon aur sadaiv aapki yashgaatha gaata rahoon.

40.
Durga Chalisa Jo Nit Gaavai.
Sab Sukh Bhog Param Pad Paavai॥

Meaning: Jo vyakti nitya Durga Chalisa ka gaan karta hai, vah sabhi sukh praapt karke param pad ko praapt karta hai.

41.
Devidas Sharan Nij Jaani.
Karahu Kripa Jagdamba Bhavaani॥

Meaning: Devidas swayam ko aapki sharan mein aaya hua maankar prarthana karta hai. Hey Jagdamba Bhavani, us par apni kripa karein.

◆
✦
◆

Conclusion

For all devotees of Maa Durga, we have shared the Durga Chalisa lyrics (in English) and their meanings And also maa durga chalisa pdf english in this post.

Durga Maa Chalisa Hindi Lyrics with PDF

◆
✦
◆

Information about the Maa Durga Chalisa in Hindi is provided below, and you can also download the Maa Durga Chalisa PDF in Hindi.

Download English PDF
Post Tags: #durga chalisa lyrics in english pdf with meaning#durga chalisa pdf english#Durga Chalisa PDF In English with Meaning#maa durga aarti pdf english#maa durga chalisa pdf in english

Post navigation

Previous Previous
श्री दुर्गा चालीसा Durga Maa Chalisa Hindi PDF and Lyrics with Meaning
NextContinue
Durga Chalisa Gita Press PDF – Original Hindi Chalisa Download
  • श्री दुर्गा चालीसा | Durga Maa Chalisa Lyrics and PDF in All Languages

Copyright © 2026

Scroll to top
  • श्री दुर्गा चालीसा | Durga Maa Chalisa Lyrics and PDF in All Languages
Search